Kanz e Aza

Ya Abbas

A noha for Moula Abbas (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Tanha hai koi fauj hai betaab

mashkeeza liye kaise bujhe pyaas

ya abbas..(4) abbas

ya abbas..(4)

ya abbas..(4)

tanha hai koi..


1. {Khaimo me lagi aag to zainab ne pukara

bus ek tuhi tanha hai chadar ka sahara} ..(2)

tanha hai koi..


2. {Aa neher se ek baar ke jaa tujhko me waaru

du tujhko duae tera sadqa mai utaru}.. (2)

tanha hai koi..


3. {Aaegi hume lootne jab shame ghareeba

mai dekhungi naize pe sare shahe shaheeda} ..(2)

tanha hai koi..


4. {Chhaa jaega jab shaam ghareeba ka andhera

aur hoga mere baazu pe jab rassi ka ghera} ..(2)

tanha hai koi..


5. {Kat jaega jab tegh se har aankho ka taara

chhin jaega mujhse mera har ek sahara} ..(2)

tanha hai koi


6. {Ye aaj bhi jungle me sada goonj rahi hai

zainab ki ye maqtal me sada goonj rahi hai} ..(2)

tanha hai koi...

ya abbas..(8)