Kanz e Aza

ya abbas ya abbas dilbare Zehra ya Abbas

A noha for Hazrat Abbas (a.s), recited by Anjuman e Aon o Mohd. Lyrics in Roman Urdu.

ya abbas ya abbas


dilbare zehra ya abbas

bhai ke gham may tooti kamar

dil se gaya khoone sarwar

gir gaye sarwar reti par

aansu tapke dil ne kaha


ya abbas ya abbas....


ghazi tum jo rooth gaye

arman dil se choot gaye

pyaso ke dil toot gaye

bhool gaye pani kehna


ya abbas ya abbas....


bali sakina ki hai fughan

aa bhi jao mai qurban

kehti hai rokar nadan

aajao ab mere chacha


ya abbas ya abbas....


yaad aata hai reh reh kar

tumko lehad par bulwa kar

kehti thi rokar maadar

tere hawale hai kunba


ya abbas ya abbas....


dhoond raha hoo akbar ko

bhai ke mere dilbar ko

jhoole wale asghar ko

koi nahi zinda mera


ya abbas ya abbas....


dekh ke roye ahle haram

mashke sakina aur parcham

karte hai bache matam

kehte hai ye ahle aza


ya abbas ya abbas....


bibi tumse door hai mai

zakhmo se ab choor hoo mai

haathon se majboor hoo mai

kehke na ro-o ay bhaiya


ya abbas ya abbas....


bhaiya tumko rota hoo

zakhm zaban ke sehta hoo

dushman se jab sunta hoo

hai wo kahan jo lashkar tha


ya abbas ya abbas....