Kanz e Aza

Ya Ali Adrikni

A noha for Ali Akbar (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

ya ali adrikni

umme laila ka jigar hogaya chalni chalni

dekhiye seena e akbar may hai barchi ki ani

ya ali adrikni


dekhiye dekhiye dam toot raha hai kis ka

hai qayamat barpa

qaima e itrate athaar may hai seena zani

ya ali adrikni


sar jhukaye hue baithe hai sarane sarwar

jaan balab hai akbar

haye mazloom ki kaisi hai ghareeb ul watani

ya ali adrikni


qaima e shaah may ghul hota ha innalilaah

dam e aakhir hai aah

hichkiyan leta hai hamshakle rasool e madani

ya ali adrikni


khaak may milti hai akbar ki jawani maula

keh rahi hai fizza

mil gaya khaak may shabbir ka sar be chamani

ya ali adrikni


laashe akbar pe ajab maadare akbar ka hai haal

haal se hai behaal

rote rote wo kahin jaan na dede apni

ya ali adrikni


ye zaeefi ye jawan laal ki mayyat maula

kaise uthegi bhala

aao imdad ko az behre rasool e madani

ya ali adrikni