Kanz e Aza

Aakhri Sajda

A noha for Imam Hussain (a.s), written by N. Sarwar & J. Jaffri (2025). Lyrics in Roman Urdu.

hilne laga arshe bareen

rone lagi karbala

laakhon qaatilon mein tha

magar ye sach hai ba khuda

koi na hussain aur

khuda ke darmiyan tha

sajde mein hussain thay

labon pe thi yehi sada


le ay mere allah ab tere hawale

maalik tera banda ab tere hawale

aray zindagi se ser ho chuka

kar raha hoon aakhri sajda

hussain hussain ya hussain


allah allah allah

subhana rabbi yal aa'laa


asr ki sunta hoon sada e azaan

aakhri dena hai mujhe imtehan

chaaron taraf teer o sina barchiyan

hai ye mere qatl ki tayyariyan


le ay mere allah ab tere hawale

maalik tera banda ab tere hawale

aray zindagi se ser ho chuka

kar raha hoon aakhri sajda

hussain hussain ya hussain


jaante hai kis ka nawasa hoon mai

jaante hai kis liye aaya hoon mai

tera hi paigham sunaata hoon mai

phir bhi sitam ka hi nishana hoon mai


le ay mere allah ab tere hawale

maalik tera banda ab tere hawale

aray zindagi se ser ho chuka

kar raha hoon aakhri sajda


allah allah allah

subhana rabbi yal a'laa

hussain hussain ya hussain


na mera ghar baar na lashkar raha

akbar o abbas ka gham kha gaya

itne sitam dil pe mai sehta raha

shukr hai waada to wafa ho gaya


le ay mere allah ab tere hawale

maalik tera banda ab tere hawale

aray zindagi se ser ho chuka

kar raha hoon aakhri sajda

hussain hussain ya hussain


yaad rakhega ye zamana sada

kaise hamein dasht mein loota gaya

kaise hamein nehr pe pyasa rakha

kaise mera aakhri sajda hua


le ay mere allah ab tere hawale

maalik tera banda ab tere hawale

aray zindagi se ser ho chuka

kar raha hoon aakhri sajda


allah allah allah

subhana rabbi yal a'laa

hussain hussain ya hussain


qaimon mein kohraam hai mere khuda

betiyon behno mein hai matam bapa

ghash mein hai sajjad akela mera

baad mere inka hai tu aasra


le ay mere allah ab tere hawale

maalik tera banda ab tere hawale

aray zindagi se ser ho chuka

kar raha hoon aakhri sajda

hussain hussain ya hussain


lo dam e aakhir chali aayi hai maa

saath mein aaye hai mere baba jaan

bhai hassan khaak pe girya kuna

dekhte hai nana mera imtehan


le ay mere allah ab tere hawale

maalik tera banda ab tere hawale

aray zindagi se ser ho chuka

kar raha hoon aakhri sajda


allah allah allah

subhana rabbi yal a'laa

hussain hussain ya hussain


jaise hi sar khaak pe sheh ne rakha

shimr e layeen shaah ki jaanib badha

larzi zameen khoon barasne laga

aakhri shabbir ki goonji sada


le ay mere allah ab tere hawale

maalik tera banda ab tere hawale

aray zindagi se ser ho chuka

kar raha hoon aakhri sajda

hussain hussain ya hussain


allah allah allah

subhana rabbi yal a'laa

hussain hussain ya hussain