Kanz e Aza

Aahain Hain Dhoop Hai aur Jhoola Hai Ek

A noha for Ali Asghar (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Aahain Hain Dhoop Hai Aur, Jhoola hai ek Khali

Asghar ki ujri Maa ne, dunya alag basa li


Ek phool ko dehekthi raiti mai dafun kar ke

Bas haat mal raha tha, ujrey chaman ka mali


Sehra me sogeya hai jhooley me sonay wala

Zindan me sogayi hai Jhoolay jhulaney wali


Aab janay kya kahengey madar se uski Jaakay

Khaimo ko ja rahey hain Shabbir haat khali


Dehka Rubab ko jab Sajda e shukar kar kay

Behlool e hajira nay kyun kar nazar jukali