ya maulana ya sahib az zaman
al ghaus al ghaus al ghaus adrikni
ya sahib az zaman
waasta hai shaam waali shaahzadi ka
aaiye maula aaiye maula
aap ke hai saath hum ko karbala jaana
aaiye maula
sunnate sajjad aur zainab ada karte huwe
jayenge paidal najaf se karbala chalte huwe
bas yehi armaan e dil hai har hussaini ka
aaiye maula
waasta hai shaam waali...
sar khule jisko phiraya shaam ke bazar mein
haye wo jisko bulaya berida darbar mein
haan usi zainab ka aakar lijiye pursa
aaiye maula
waasta hai shaam waali...
intezar ab bhi wo karti hai ke akbar aayenge
aur mujhe bhi saath apne karbala le jayenge
khatm ho ab intezar e fatema sughra
aaiye maula
waasta hai shaam waali...
aap ko us cheh mahine ke sipahi ki qasam
muskara kar jisne khaya halq par teer e sitam
chaahiye phir deen ko baysheer ka sadqa
aaiye maula
waasta hai shaam waali...
aa bhi ja parda e ghaibat se zamane ke imam
tujhse mimbar pe tere jadd ki kahani sunlein
hum azadaron ki bas aakhri hasrat hai yehi
nauha zahra ka bas ek teri zabani sun lein
ghar jalaya dar giraya phasliyan zakhmi hui
hogaye mohsin shaheed aur ghamzada bibi hui
dushman e zahra se aa kar lijiye badla
aaiye maula
waasta hai shaam waali...
aap ko us chaar saala sayyeda ka waasta
jiske kaano se chine gauhar lahoo behta raha
kam na hoga aap ke bin gham sakina ka
aaiye maula
waasta hai shaam waali...
aaj bhi hai qabre zahra dhoop mein tooti hui
hai dua zeeshan o irfan e aza lab par yehi
kijiye tameer aa kar rauza e zahra
aaiye maula
waasta hai shaam waali...