zakhmi kaano pe haathon ko rakhe huwe
nikli qaimon se ek bacchi roti hui
uska kurta jala surkh ruqsaar tha
baba baba ki wo de rahi thi sada
haye baba haye baba haye baba
haye larza tha uske haathon mein
baap ko dhoondti thi laashon mein
jab wo baba ko dhoond na na paayi
ek laashe se ye sada aayi
aaja meri jaan sakina tu kahan hai
tera baba yahan hai
aise ghabra nahi meri bacchi
hai tera baba tere saath abhi
dhood laashon mein ek laash aisi
jiski ek ungli kati hai beti
sun ke sakina ne kaha baba un haathon se
tum ne jo tohfe mein mujhe laa kar diye thay
shimr wo gohar le gaya baba kahan ho
khoon mere kaano se baha baba kahan ho
aaja meri jaan sakina...
ilayya ilayya bunayya sakina
meri awaaz sun ke aaja idhar
ho chuka hai mera badan be sar
waar itne kiye gaye mujh par
aa chuki meri ragein baahar
aate huwe maine suna keh raha tha koi
phupiyon ke shaano se meri gardan bandhegi
chota hai khad sab se mera baba kahan ho
hoga mera zakhmi gala baba kahan ho
aaja meri jaan sakina...
kaise pehchanogi mujhe bolo
mil ke maara hai tere baba ko
ay meri jaan meri baat suno
sab se zakhmi badan talaash karo
maar ke jab tumko layeen qaimon mein aaya
baal mere khaynche mujhe maara tamacha
zakhmi hua chehra mera baba kahan ho
itna mujhe maara gaya baba kahan ho
aaja meri jaan sakina...
kab se jaagi hai paas aa mere
aa rahi hogi beta neend tujhe
tu magar soyegi yahan kaise
mera seena bhara hai teeron se
teer nikalungi mai khud nanhe haathon se
baba magar soungi mai seene pe tere
ran mein andhera hogaya baba kahan ho
seena kahan dhoondun tera baba kahan ho
aaja meri jaan sakina...
pehli manzil hai ye musibat ki
zulm sehna hai tujhko aur abhi
jo sunega tu hai meri beti
aur maarega tujhko ay bibi
aap ki beti hoo usay jab ye bataya
jaan ke aalim ne mera daaman jalaya
cheen ke legaya rida baba kahan ho
deti rahi mai ye sada baba kahan ho
aaja meri jaan sakina...
ye bhi pehchaan hai meri sun le
jab giraya gaya mujhe zeen se
yun to talwarein bhi chali mujhpe
sab se gehre hai zakhm naizon ke
naize ka jab naam suna boli sakina
is tarha khooli ne mujhe nazie se maara
chehre ke bal gira diya baba kahan ho
yaad bahot aaye chacha baba kahan ho
aaja meri jaan sakina...
dhoonda zeeshan aur raza har soo
aayi jis waqt baap ki khusboo
poch kar nahe haath se aansu
pahunchi laashe pe ho ke be-qaabu
gham jo sahe bhool gayi jab dekha manzar
ghodon se pamaal badan aur tha kata sar
phir na sakina ne kaha baba kahan ho
uth ke suno haal mera baba kahan ho
aaja meri jaan sakina...