betiyan thi janaza tha ehsaas tha
door baba ki mayyat se abbas tha
waqt e ruqsat kafan jab hataya gaya
aakhri baar chehra dikhaya gaya
apne abbas ka jab khayaal aa gaya
de ke awaaz shabbir ne ye kaha
aao baba ko ruqsat karo
aaj baazu bhi hai aur janaza bhi hai
aao baba ko ruqsat karo
jab se baba ne choome hai shaane tere
karbala yaad aati hai bhai mujhe
ek zakhmi badan hoga jab be kafan
kaun aayega bhai uthane usay
aaj sab hai chalo tum mera saath do
door baitho na ab mere ghazi utho
aao baba ko ruqsat karo...
jaanta hoo bahot sabr tum ne kiya
apne baba ke qaatil ko pani diya
zakhm gehra hai ab bhi shakista hai sar
usne talwaar se waar aisa kiya
zarb ke zakhm se khoon phir na bahe
dekho mayyat rakhi hai bahot dayr se
aao baba ko ruqsat karo...
jaise amma ne mujhko bulaya suno
tum bhi baba ko ek baar awaaz do
maa ki tarha se bande kafan tod kar
apne seene se tumko laga lenge wo
unka ehsaas ho tum to abbas ho
mere baba ke dil ke bahot paas ho
aao baba ko ruqsat karo...
bas ye armaan hota hai har baap ka
mere bete uthaye janaza mera
keh ke ye baat shabbir rone lage
aur phir haath seene pe rakh kar kaha
aisa na ho kabhi baap uthaaye koi
apne kanadhe pe mayyat jawan laal ki
aao baba ko ruqsat karo...
yaad hai tum ko baba ne jaate huwe
haath rakha tumhara mere haath pe
tum ko shab ki namazon mein maanga gaya
ay mere bhai karbobala ke liye
kya ye sadma hai kam hai yateem aaj hum
haye aaghaz e karbobala hai ye gham
aao baba ko ruqsat karo...
thaam kar apni tooti hui phasliyan
dekho baba ke pehlu mein baithi hai maa
haye ghurbat wohi haath pehlu pe hai
taziyano ke jis par hai ab bhi nishan
dekho ay ba-wafa saath hai mustafa
chal ke baba ko ab bol do alvida
aao baba ko ruqsat karo...
dekho baba ki mayyat se lipti hai wo
tum hi zainab ke jeene ki umeed ho
bhai shabbar ne rukh se hataya tha jo
apne haathon se tum wo kafan baandh do
aks e khyber shikan mar na jaaye behan
tum ko dekhegi to chod degi kafan
aao baba ko ruqsat karo...
baat behan ki aayi to ghazi uthay
apne baba ki mayyat ki jaanib chale
aa ke baba ke qadmon ka bosa liya
ay raza haal zeeshan kaise likhe
jab janaza utha ghar mein kohraam tha
roke abbas ne bhaiyon se kaha
aao baba ko ruqsat karo...