Kanz e Aza

Aaj bhi zainab ki aati

A noha for Arbayeen (2011). Lyrics in Roman Urdu.

Aaj bhi zainab ki

Aaj bhi zainab ki aati hai sada

aaj bhi zainab ki aati hai sada bhai hussain

tera chehra teri aankhein bhool kab payi hussain


chalte naaqe se giraya khud ko jalti rayt par

ghutniyo ke bal mai teri laash tak aayi hussain

bas mai ghabrayi thi khanjar tujhpe chalta dekh kar

phit kisi mushkil may ghir kar mai na ghabrayi hussain


kaun tha jo marne walon may nahi tha khubaru

bhoolne baithi to kis kis ki na yaad aayi hussain

beh rahe thay aankh se aansu teri ruqsat ke waqt phir koi aansu na tapka aankh pathrayi hussain

haath may kooze liye sab aasman takte rahe


abr ne ek boodh pani ki na barsayi hussain

door uftada safar se laut kar maine naved

thanda pani jab piya bas teri yaad aayi hussain