AAYI HU CHELUM MANANE APKA AYE BHAI JAAN
KHABRE SHEH PAR RO KE ZAINAB NE KAHA AYE BHAI JAAN
1.Shaam Ke Halat Tumku Kis Tarah Batlao Main
Haaye Balwe Me Pheri Thi Be Rida Aye Bhai Jaan
2.Taziyane Marte Abid Ku Zaalim Le Chala
Kya Batou Tumku Zulm e Aashqiyan Aye Bhai Jaan
3.Bandh Kar Ghodhe Ki Gardan Me Sar e Abbas Ku
Bani e Zulm Sitam Yun Le Chala Aye Bhai Jaan
4.Cheen Gayi Chadar Jo Sar Se Khaakh Se Parda Kiya
Kaise Kaafnati Tumhe Thi Be Rida Aye Bhai Jaan
5.Qaid Se Chuth Kar Main Aayi Karne Chelum Apka
Kis Tarah Hunga Bhala Yeh Haq Aada Aye Bhai Jaan