aayi zahra ki sada pyasa hai baccha mera
shimr khanjar na chala
jurm kya isne kiya kuch to kar khauf e khuda
mujhpe ye zulm na dhaa
aayi zahra ki sada...
ghar jalaya mere mohsin ko bhi maara tum ne
zehr shabbar ko pilaya tumne
meri beti ke liye hai nigehban ye baccha
aakhri beta mera
aayi zahra ki sada...
soch kar neend may ye pyaas se jaage na kahin
paani le kar mai khadi rehti thi
kis tarha dekhe ye maatu sirhane pe yahan
leke khanjar hai khada
aayi zahra ki sada...
mera baccha jo suye qaima nazar karta hai
yaad abbas usay aata hai
zere khanjar bhi yahi iske lab par hai sada
haye zainab ki rida
aayi zahra ki sada...
mai sakina se tujhe maang ke laa doongi gohar
le le sab ahle haram ke zewar
maa ka phat'ta hai jigar itni tauheen na kar
payr seene se hata
aayi zahra ki sada...
haath pyase ki na gardan se hatayegi ye maa
apne bacche ko bachayegi ye maa
ab nahi fikr mujhe haath kat jaaye mere
katne doongi na gala
aayi zahra ki sada...
baad maa ke jo behen shaah ki maa jaisi thi
jis ghadi qaime se wo nikli thi
khushk tha sheh ka gala zere lab itna kaha
jaa behen qaime may jaa
aayi zahra ki sada...
qatl maadar hui hamsheer bhi beti bhi hui
jab churi shaah pe akbar thi chali
kya qayamat tha samaan tanha mazloom kahan
qatl khanjar se hua
aayi zahra ki sada...