aayi ye arsh e paak se allah ki sada
ab ay hussain aa ab ay hussain aa
aaja palat ke rab ki taraf aa hussain aa
ay mere mustafa ke kalaf aa hussain aa
ay laqte qalbe shaahe najaf aa hussain aa
sar kar gaya hai jaan bakaf aa hussain aa
hyder ke laal fatema zehra ke noore ain
noore nazar rasool ke zehra ke dil ke chain
jannat ke baadhshah shehensahe mashraqain
tere liye hai kaun o makan ke ye zeb o zain
nana se apne tu ne jo waada kiya hussain
mesaaq waale ehd ko poora kiya hussain
tu ne jo mere saamne sajda kiya hussain
haq bandagi ka tu ne ada kar diya hussain
ab tere mere beech nahi koi faasla
ab ay hussain aa ab ay hussain aa
aayi ye arsh e paak se...
teeron par teer tere badan par baras gaye
pani ki boondh boondh ko bacche taras gaye
ghazi ne tere nehr pe katwa diye hai haath
zinda rahenge haath ye mashk o alam ke saath
islam sar barehna khada tha jo saamne
zainab ne apne sar ki rida baksh di usay
zehra ne chakki pees ke paala tujhe hussain
in dushmano ne maar hi daala tujhe hussain
tu ne jawan pisar ali akbar bhi de diya
shish maah bezuban ali asghar bhi de diya
ghar ko mere bachane bhara ghar bhi de diya
islam ki baqa ke liye sar bhi de diya
ab saari kayenaat tere naam hai hussain
islam tere dam se hi islam hai hussain
haa mai hoo tera tu hai mera
ab ay hussain aa ab ay hussain aa
aayi ye arsh e paak se...
zakhmon se choor choor hai tera badan hussain
jangal mein lut gaya tera saara chaman hussain
laashon se saj gayi hai teri anjuman hussain
ab karbala ki khaak hai tera watan hussain
khaak e shafa hai maine teri khaak ko kiya
takmeel tujhse panjetan e paak ko kiya
tu mera aaena hai mai hoo aaena tera
ab ay hussain aa ab ay hussain aa
aayi ye arsh e paak se...
hussain marzi e khaaliq hai tere haathon mein
payam o haq o sadaqat hai tere haathon mein
ba ho chuki ye jang har ek maareka hua
raazi hussain tujhse tera kibriya hua
rakh ay hussain apni ye shamsheer niyam mein
aa baargahe jalwa e rabbe anaam mein
zakhmon se saara jism sajaya hua hai tu
apne lahoo mein aaj nahaya hua hai tu
tanha khada rahega bhala kab talak bata
ab ay hussain aa ab ay hussain aa