ab kisko teri maadar lori sunaye asghar
raaton ko uth ke kiska jhoola jhulaye asghar
shiddat ki tashnagi mein jhoole se ran mein jaa kar
daste pidar pe ran mein khoon mein nahaye asghar
ab kisko teri maadar...
nusrat mein deen e haq ki gardan pe teer khaa kar
veeran kar ke godhi jangal basaye asghar
ab kisko teri maadar...
maadar ghareeb dukhiya kis ko jhulaye jhoola
chote se ye shalooke kis ko pinhaye asghar
ab kisko teri maadar...
ek baar apni maa ki godhi mein chale aao
hasrat hai tum ko maadar ek pal sulaye asghar
ab kisko teri maadar...
aansuon chidak ke bole turbat pe teri sarwar
jee bhar ke mujhko aada ran mein rulaye asghar
ab kisko teri maadar...
jis din se maa ne dekha naize pa sar tumhara
haalat pa teri ro kar kehti hai haye asghar
ab kisko teri maadar...
thi ilteja e saabir matam ho tera ghar ghar
jhoola uthe jo tera sab khoon bahaye asghar
ab kisko teri maadar...
beta ye anjuman hai matam sara tumhari
sar ta qadam jo saare khoon mein nahaye asghar
ab kisko teri maadar...
mehshar mein wo yaqeenan jannat mein honge mazhar
dunya mein jo tumhara jhoola uthaye asghar
ab kisko teri maadar...