Sarwar Ne Sada Di Roro Kar Aahista Chalo Beta Akber Yabunaiya Mehlan Mehlan
Aaye Noor-e-Nazar Aaye Lagte Jigar Aahista Chalo Beta Akber Yabunaiya Mehlan Mehlan
1.Jab Run Ku Chale Hum Shakle Nabi
Beh Hosh Howi Dukhyari Phuphi
Yeh Khete Chale Peeche Sarwar
Aahista Chalo Beta Akber Yabunaiya Mehlan Mehlan
2.Kis Gham Me Hai Tum Kya Jaano
Aulad Ka Gham Tum Kya Jaano
Ab Kaise Rakhe Dil Par Pathar
Aahista Chalo Beta Akber Yabunaiya Mehlan Mehlan
3.Kuch Kam Toh Yeh Gham Karte Jao
Itna Toh Karam Karte Jao
Dekho Meri Janib Mudh Mudh Kar
Aahista Chalo Beta Akber Yabunaiya Mehlan Mehlan
4.Aaye Laal Bhot Dilgir Hai Hum
Uthte Hai Badi Mushkil Se Khadam
Manzil Hai Kadi Dushwar Safar
Aahista Chalo Beta Akber Yabunaiya Mehlan Mehlan
5.Ehsas Bhi Hai Tanhai Ka
Taaza Hai Abhi Gham Bhai Ka
Zakhmi Hai Badan Tuthi Hai Kamar
Aahista Chalo Beta Akber Yabunaiya Mehlan Mehlan
6.Hai Dard Me Duba Tera Bayan
Fakhri Wo Magar Ehsas Kahan
Kis Dard Me Khete They Sarwar
Aahista Chalo Beta Akber Yabunaiya Mehlan Mehlan