Tanhaa Reh gayaa Hussain x 4
Aai meray baradar Abbas e dilawar
Imdaad ko aao mera dam toot raha hai x 2
Farmatay hain rokar yeh sibtay payambar
Imdaad ko aao mera dam toot raha hai
Aai meray baradar Abbas e dilawar
Imdaad ko aao mera dam toot raha hai
Abbas Abbas Abbas Abbas
Aai bhaii mujhe aakay kalejay say laga lay
Seenay say meray shimr e sitamgar ko hata day x 2
Phat taa hai kalejaa zakhmi hai mera sar
Imdaad ko aao mera dam toot raha hai
Aai meray baradar Abbas e dilawar
Imdaad ko aao mera dam toot raha hai
Abbas Mera bhaii… Sab margaye Abbas mera koi nahi hai
Aai bhaii sahara mera ab jalti zamee'n hai x 2
Yaad aatey hai Qasim yaad aatey hai Akbar
Imdaad ko aao mera dam toot raha hai
Aai meray baradar Abbas e dilawar
Imdaad ko aao mera dam toot raha hai
Abbas Mera bhaii… Peechay say meri pusht pa sab teer chalaaye
Naizay jo lagaaye meray seenay pay lagaaye x 2
Maraa hai kisi nay patthar meray sar par
Imdaad ko aao mera dam toot raha hai
Aai meray baradar Abbas e dilawar
Imdaad ko aao mera dam toot raha hai
Hayee….
Tadpati hai aai bhaii mujhe dhoop ke shiddat
Jalta hai mera jism to hoti hai aziyaat x 2 Aur reyth bhari hai har zakhm kay andar
Imdaad ko aao mera dam toot raha hai
Aai meray baradar Abbas e dilawar
Imdaad ko aao mera dam toot raha hai
Abbas Abbas Abbas Abbas
Abbas meray chehray pay zakhmo kay nashaa'n hai
Har soo hai andhera meri aankhao may dhuwa'n hai x 2
Hai pyaas ke shiddat kantay hai zabaa'n par
Imdaad ko aao mera dam toot raha hai
Aai meray baradar Abbas e dilawar
Imdaad ko aao mera dam toot raha hai
Abbas Mera bhaii… Zakhmo pay meray zakhm lagatay hain jafakaar
Behta hai lahoo jism say hai maut kay aasaar x 2
Ghash aata hai mujko hai jaan labon par
Imdaad ko aao mera dam toot raha hai
Aai meray baradar Abbas e dilawar
Imdaad ko aao mera dam toot raha hai
Hayee… Sar tan say juda karnay ki khatir meray bhaiyaa
Zulfon may meray haath hai ab shimr e layee'n ka x 2
Khanjar say layee'n kay kat ta hai mera sar
Imdaad ko aao mera dam toot raha hai
Aai meray baradar Abbas e dilawar
Imdaad ko aao mera dam toot raha hai
Abbas Mera bhaii… Parwaaz zamee'n hilnay lagee karbobala kii
Aur nehar pay tharranay laga laasha e Ghaazi x 2
Sar Katgaya tan say kehtay rahay Sarwar
Imdaad ko aao mera dam toot raha hai
Aai meray baradar Abbas e dilawar
Imdaad ko aao mera dam toot raha hai
Aai Meray Baradar Abbas a.s E Dilawer x 4