Kanz e Aza

Aaja Mere Hussain

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Iqbal Abedi. Lyrics in Roman Urdu.

aaja mere hussain

aaja mere hussain


tu chand hai mere ghar ka

tu phool hai is aangan ka

tu is dil ki hai dhadkan

tu noor hai in aankhon ka

teri yaad mein tadpun din bhar

jaagun mai saari rayn

aaja mere hussain...


kya chakki pees ke beta

is din ke liye tha paala

khanjar hai galay par pyase

manzar ye dehun kaise

ahmed ka nawasa hai

ye beta hai mera hussain

aaja mere hussain...


ghar baar luta kar dekhun

ye haal bhi dilbar dekhun

tu tanha khada hai ban mein

ujdi hai kook is ban mein

chaale hai mere is dil par

ashkon se tar hai nayn

aaja mere hussain...


khoon roti hai ye dukhiya

bebas hai kitni mamta

mehshar ka hai ye manzar

sajde mein sar aur khanjar

lillaah rehm tu karna

kaunain huwe bechain

aaja mere hussain...


be-aab na zibha kar tu

allah se kuch to darr tu

kya soch ke tu badta hai

zehra ka ye fidya hai

kyun arsh ko tu dhaata hai

khudrat ke hai ye bain

aaja mere hussain...


dil par hai udaasi chaayi

baalon se maqtal jhaadi

beenayi gayi hai maa ki

tooti hai kamar bhi meri

ye din bhi kaisa aaya

haider ke noore ain

aaja mere hussain...


khanjar ko chalta dekha

pyase ko tadapta dekha

baakhi hai no koi ghar mein

meri dunya luti pal bhar mein

beemar bacha kunbe mein

thay maa ke shor o shain

aaja mere hussain...


be-aas tadapti khaahar

nikli hai ghar se baahar

maqtal mein aayi zainab

kya uspe hai ye musibat

bichde hai ran mein us se

sardare jina hasnain

aaja mere hussain...


saabir hai jahan mein iqtaa

iqbal hai jiska banda

qurbani ki ab khaatir

zehra hai ran mein haazir

aa godh mein meri aaja

maa kabse hai bechain

aaja mere hussain...