Kanz e Aza

AAJA MEREDILBAR MERI AAGHOSH ME AAJA

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Ali Jaweed Maqsood and recited by Anjuman e Parwana e Shabbir. Lyrics in Roman Urdu.

Tha asr ka hangaam falak kaamp raha tha

Zehra ka jigar bandh laeenon me ghira tha

Teeron ka nashana tha Muhammad ka Nawaasa

Girte huwe mazloom ne Maadar ko pukaara

Ab aaiye Amma ke Main girta hu'n zami'n par

Zehra ki sada aayi ke maujood hai Maadar

Phailaaye hu'n baahein Meri Godi mesama ja


Aaja MereDilbar Meri Aaghosh Me Ajaa


Rasta Mera khu'nkhaar kahan rok sakenge

Maa ko ye sitmgaar kahan rok sakenge

Mamta ko ye hathyaar kahan rok sakenge

Maa Tujh ko na chhoregi kisi haal me tanha


Aaja MereDilbar Meri Aaghosh Me Ajaa


Dekha hai Tujhe LaashBhatije ki Uthaate

Abbas ke Laashe pa kamar thaam ke Jaate

Aur Auno Muhammad ke Janaazo'n ko bhi Laate

Aye LaalTere sabr ke qurbaan ho Zehra


Aaja MereDilbar Meri Aaghosh Me Ajaa


Maqtal meTujhe thokarein khaate huwe dekha

Laasha Ali Akbar ka uthaate huwe dekha

Asghar ka lahu Rukh pa lagaate huwe dekha

Zainab ko madad ke liye aate huwe dekha


Aaja MereDilbar Meri Aaghosh Me Ajaa


Aye LaalTere sabro Shuja'at ki bala lu'n

Aaja MerePyaare Main kaleje se laga lu'n

Jab tegh ho gardan pa to zaanu pa lita lu'n

Is dard se bhi saath hai Dono ko guzarna


Aaja MereDilbar Meri Aaghosh Me Ajaa