aao sakina roti hai
abbas abbas aao sakina roti hai
jangal hai soona kya karoo
kya haal hai kis se kahoo
palkon pe ashke gham liye
moo ashkon se wo dhoti hai
abbas abbas aao sakina...
zehra ke dil jaane ali
murjha gayi gham se kali
gowhar chine kurta jala
uftaad us par hoti hai
abbas abbas aao sakina...
shimr e layeen se darti hai
jab yaad tumko karti hai
marti hai tere gham mein wo
bechain o muztar hoti hai
abbas abbas aao sakina...
usko tasalli deti hoo
aaoge bhaiya kehti hoo
bolo kahoo mai kya karoo
be-kal wo gham se hoti hai
abbas abbas aao sakina...
nanhi si jaan laakhon sitam
hai ek us par gham pe gham
seena kahan shabbir ka
kab chain se wo soti hai
abbas abbas aao sakina...
zaalim ke us par kode hai
tum saath jab se chode hai
seene pe sone waali thi
wo khaak par ab soti hai
abbas abbas aao sakina...
kaise nehr par so gaye
bin bhai ke hum hogaye
zainab ki thi ran mein sada
shaam o sehar wo roti hai
abbas abbas aao sakina...
sabir ghame abbas mein
bali sakina pyaas mein
iqbal binte shaahe deen
ammu ke gham mein roti hai
abbas abbas aao sakina...