aap ke baad mujhe shimr ne maara baba
choor zakhmon se hui teri sakina baba
kya yateemo ko dilaasa nahi deta koi
kya aseeron ka koi ghar nahi hota baba
aap ke baad mujhe...
mujhko is baat pe zaalim ne tamache maare
maine bas aap ka sar shimr se maanga baba
aap ke baad mujhe...
itni be-rehmi se durr mere layeen ne cheene
jaise daadi se fidak logon ne cheena baba
aap ke baad mujhe...
moo ke bal daudte naaqe se girri thi jab mai
shimr ne baalon se tab mujhko uthaya baba
haath pehlu se nahi jaise utha dadi ka
hath rukhsaar se mera nahi uth'ta baba
aap ke baad mujhe...
aise ujde na koi meri dua hai rab se
jaise pardes mein ujdi hai sakina baba
aap ke baad mujhe...
sogayi shaam ke zindan mein sakina mohsin
qaid khaane mein sada reh gayi baba baba
aap ke baad mujhe...