Ub Na Roungee Baba Ko Bhaiyya, Apnay Zindan Mei Lay Chalo Mujhko
Mei Yahan Dar Say Mer Na Jaoun Kahien, Ghut Raha Dum Abhi Say Mera Hay
Baheyn Sajjad Nay Chouraaeen Jub Apni Choti Behen Sakina Ki
Khoon Rothay Houay Kaha Bibi, Ub Mohaafiz Khuda Hee Tere Hay
Qatl Baba Ka Daikha Bibi Nay Houee Qaidee Thamachay Bhi Khaaey
Char Salon Ki Zindagaani Mei Itnay Sudmon Nay Tujh Ko Ghayra Hay
Thairee Beti Ko Neend Aati Nahien Aa Bhi Jaey Tho Kaan Dukh Thay Hain
Tere Seenay Pay Sothi Thi Baba, Ub Mera Khaaq Pay Baseyra Hay