maadar ka ye nauha tha aajao ali asghar
aajao ali asghar aajao ali asghar
chodo na mujhe tanha aajao ali asghar
aajao ali asghar...
surat teri ay asghar phirti hai nigahon mein
dikhlayi nahi deta in dard ki raahon mein
tadpao na yun beta aajao ali asghar
aajao ali asghar...
wo phool sa chehra phir hoga kahan dunya mein
ab dhoondne jayegi ye maa kahan dunya mein
jangal mein tum na sona aajao ali asghar
aajao ali asghar...
thi pyaas gawahi mein baysheer ki aahon mein
ek dard ki dunya hai shabbir ki baahon mein
dil doobta hai mera aajao ali asghar
aajao ali asghar...
bikhre pade hai laashe aaun kahan mai ran mein
dil khauf se darta hai karbobala ke ban mein
chodo na mujhe tanha aajao ali asghar
aajao ali asghar...
mai raaton mein uth uth ke wo jhoola jhulati thi
ro ro ke tumhe beta lori mai sunaati thi
veeran hua jhoola aajao ali asghar
aajao ali asghar...
behaal sakina hai dekho to zara aa kar
hai neel tamachon ke masooma ke gaalon par
mar jayegi wo dukhiya aajao ali asghar
aajao ali asghar...
ab khaak hai baalon mein andhayr hai aankhon mein
dikhlayi nahi dete tum mujhko bhi khaabon mein
dil mera larazta hai aajao ali asghar
aajao ali asghar...
iqbal ban mein saabir maa ye dua karti hai
matam jo kar rahe hai unki hi zindagi hai
bano ka tha ye nauha aajao ali asghar
aajao ali asghar...