Kanz e Aza

Aakhri Lori

A noha for Ali Asghar (a.s), written by Rehaan Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

aakhri lori hai meri jaan kar bejaan hoon mai

ay khuda taala na mujhko aazmana maa hoon mai


nanhe nanhe haath aur pyase labon ko choom kar

mai kaha karti thi asghar ab agar jaaungi ghar

mai padhungi teri surat tu kare quran hoon mai

aakhri lori hai meri...


putliyan aankhon ki meri tujhse le kar roshni

itni roshan hogayi ke bheek maange chandni

ay mere mahtaab aaja muztar o giryan hoon mai

aakhri lori hai meri...


aakhri shab hai sahar is shab ki kya dikhlaye rang

hai munajaate khuda yan us taraf tayyar jang

tu ladega kis tarha aada se yun hairaan hoon mai

aakhri lori hai meri...


nusrate shabbir to karna hai tum ko bhi magar

muskurahat tere lab par aur udhar teer o tabar

tujhpe ay nanhe mujahid is liye qurban hoon mai

aakhri lori hai meri...


saari maayein apni qurbani karengi pesh kal

chaahti hoon tu idhar maidan mein aise nikal

taake mai bhi keh sakun ek askari ki maa hoon mai

aakhri lori hai meri...


dhyaan bas itna rahe behre viran jaate huwe

chand qatre pani pee leena jo qismat se mile

ek teri tashna dahani se bohat bejaan hoon mai

aakhri lori hai meri...


subho se aaghaz hoga teer ki barsaat ka

khoon fishan chehra nazar aane laga hai raat ka

teeron se bach kar raho karti dua har aan hoon mai

aakhri lori hai meri...


maa dua karti rahi rehaan jhoole ke qareeb

laaj rukhiyo maadare asghar ki rabbul aalameen

meri qurbani hai asghar be sar o samaan hoon mai

aakhri lori hai meri...


guftagu maadar ki sunkar bezuban kehne laga

kaise so jaaun mai ke sona hai zameene garm par

mai to sojaunga khaa kar teer kal maidan mein

haan magar tum so nahi paaogi amma umr bhar