aaja mere hussain
ghurbat se maa ke thay bain
aaja mere dil ke chain
aaja mere hussain
ghurbat se maa ke thay bain
aaja mere hussain
tera janaza maqtal mein tanha
mai ro rahi hoo ghurbat mein tanha
tu ne uthaye laashon hai pe laashe
kaise rahe maa hai mushkil mein beta
maa hoo mai beta hussain
aaja mere hussain...
chalta tha meri ungli ko thaame
karti thi tujh par aanchal ke saaye
tu dhoop mein reh gaya suye maqtal
aaja tujhe maa kafan mein chupaye
mehsoos kar maa ke bain
aaja mere hussain...
tere gale par chala hai jo khanjar
aa kar laga hai teri maa ke dil par
ye soch kar mera dil jal raha hai
naize pe jayega beta tera sar
pareshan kiye maa ne bain
aaja mere hussain...