Kanz e Aza

Aa Jao Asghar

A noha for Ali Asghar (a.s), written by Bilal Kazmi. Lyrics in Roman Urdu.

aajao asghar aajao

ay mere asghar aajao


gham mein tumhare marti hoo

har dam aahein bharti hoo

ab to taras khao dilbar

aajao asghar aajao...


sannaton ka ye mausam

chaaron taraf huu ka aalam

kitna darona hai manzar

aajao asghar aajao...


door talak saaya bhi nahi

tapta sehra jalti zameen

neend tumhe aayi kyunkar

aajao asghar aajao...


sach kehti hoo ay beta

maa se nahi rootha jaata

maan bhi jao ay dilbar

aajao asghar aajao...


neendh ye aayi hai kaisi

sunte nahi awaaz meri

kab se bulaati hai maadar

aajao asghar aajao...


chaunkoge jab raaton ko

jhoola bana ke haathon ko

tujhko jhulayegi maadar

aajao asghar aajao...


binte shahe dilgeer hai ye

teri bhi hamsheer hai ye

le ke sakina ke gohar

aajao asghar aajao...


dil mein balayein leti hai

tujhko sadayein deti hai

bekas dukhiya ye maadar

aajao asghar aajao...


kaise mai jaaun shaam bhala

sar hai khula aati hai haya

maa ke liye lekar chaadar

aajao asghar aajao...


lut gayi chaahat ki dunya

uth gayi waali ka saaya

rooth gaye tum bhi jaa kar

aajao asghar aajao...


aamir jaan khota hai bilal

saara jahan rota hai bilal

rakh qalam itna likh kar

aajao asghar aajao...