Kanz e Aza

Akbar ki Jawani Ko

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Bilal Kazmi. Lyrics in Roman Urdu.

akbar ki jawani ko qaza maang rahi hai

zehra ke charaghon ko hawa maang rahi hai


faryaad hai faryaad hai ya saaqi e kausar

pyason ka lahoo taygh e jafa maang rahi hai

akbar ki jawani ko...


akbar ko mere barchiyon waalon se bachale

laila ye musalle pe dua maang rahi hai

akbar ki jawani ko...


shabbir ki khaatir jinhe maanga tha ali ne

un haathon ko ab karbobala maang rahi hai

akbar ki jawani ko...


ahmed ki nawasi pe ajab waqt pada hai

bazaar mein ek ek se rida maang rahi hai

akbar ki jawani ko...


ye asr ka hangaam hai utho ali akbar

peeri shahe waala ki asa maang rahi hai

akbar ki jawani ko...


suraj se kaho raat ke parde mein chala jaaye

ummat sar e zainab se rida maang rahi hai

akbar ki jawani ko...


bano ali asghar ko kaleje mein chupalo

ye chand bhi ghurbat ki ghata maang rahi hai

akbar ki jawani ko...


pardes se ghar laut ke aajao baradar

bemaar tumhari ye shifa maang rahi hai

akbar ki jawani ko...


kal dashte musibat mein jo mohtaje kafan tha

aaj us se kafan khalq e khuda maang rahi hai

akbar ki jawani ko...


lagta hai bilal aaj bhi shabbir ki beti

zindan se rehaai ki dua maang rahi hai

akbar ki jawani ko...