hussain yun huwe ay mujraee watan se juda
ke jaise bulbul e nashaad ho chaman se juda
watan may phir ke safar se na jeete jee aaye
ajab ghadi thi ke akbar huwe behan se juda
nikaala gardan e asghar se teer jab sheh ne
galay se behne laga khoon juda dahan se juda
sakina mar gayi qaid e sitam may ghut ghut kar
magar na chand si gardan hui rasan se juda
jina may payenge ghar ahlebait ke madda
sila khuda se juda lenge panjetan se juda
sipaah e shaam se nikla jo hurr malak bole
wo aaftaab e darakshaan hua gahan se juda
shaheed e zulm hai dono nabi ke lakhte jigar
ghame hussain nahi matame hassan se juda