khudaye paak ka pyara hussain zindabad
nabi ki aankhon ka taara hussain zindabad
dile batool ka paara hussain zindabad
ali ka raj dulara hussain zindabad
lagaye jao ye naara hussain zindabad
kaho ye milke hamara hussain zindabad
ameer e shehr e shahadat hai tera naam hussain
tujhi pe bheja hai islam ne salaam hussain
hai tere haaton mein kaunain ka nizam hussain
suna jo noke sina par tera kalaam hussain
pukar utha ye nazara hussain zindabad
lagaye jao ye nara…
kiya hai pani tere hausalon ne pathar ko
shikast di hai teri pyaas ne samandar ko
fana ki qabr mein dafna diya sitamgar ko
ulat ke rakh diya tune har ek manzar ko
haqeeqaton ko ubhara hussain zindabad
lagaye jao ye nara…
dayare shab pe ujaalon ne hukmarani ki
jale diye to hawaon ne pasbani ki
mili zaeefi ko angdaiyan jawani ki
zaban hogayi mashoor be-zabani ki
ye tera faiz hai saara hussain zindabad
lagaye jao ye nara…
payame haq hai khuda ki qasam payame hussain
har ek cheez hai kaunain ki ghulame hussain
wo mohtaram hai jo karta hai ehtarame hussain
agar yazeed se lena hai intiqame hussain
lagao jhoom ke naara hussain zindabad
lagaye jao ye nara…
jo ghar luta'ta hai usko hussain kehte hai
jo deen bachata hai usko hussain kehte hai
jo hur banata hai usko hussain kehte hai
jo jeet jaata hai usko hussain kehte hai
shuja'aton ne pukaraa hussain zindabad
lagaye jao ye nara…
baraye jang ye lekar jo zulfiqar gaya
ameere shaam ko beta ali ka maar gaya
kiya ye waqt ne elaan ikhtedaar gaya
hussain jeet gaye aur yazeed haar gaya
khuda ka deen pukara hussain zindabad
lagaye jao ye nara…
ali ka laal shahe mashraqain zinda hai
wo qalbe fatema zehra ka chain zinda hai
shababe faatahe badr o hunain zinda hai
yazeed margaya mera hussain zinda hai
ye zindagi ka hai naara hussain zindabad
lagaye jao ye nara…
ye tera dost bhi tera adoo bhi kehta hai
chiragh aandhiyon ke rubaru bhi kehta hai
alam bhi taygh bhi chaake gulu bhi kehta hai
nazar bhi fikr bhi dil bhi lahoo bhi kehta hai
jo qatl hoke na haara hussain zindabad
lagaye jao ye nara…
wafa ka tazkira gauhar sada pasand rahe
nishane matame shabbir arjuband rahe
alam hussain ke lashkar ka sar baland rahe
yazeedi qabr ki gehrayion mein band rahe
jiye hussain hamara hussain zindabad
lagaye jao ye nara…