bole sheh kya mai jawab e khat e dukhtar likhun
naamawar dekh le jo haal hai kyun kar likhun
kaise likhun ke tere chaahne waale na rahe
hogi is gham ki wo kis tarha se khoogar likhun
bole sheh kya mai...
pyaar likha hai jise jaan se pyara keh kar
mar gaye teer e sitam kha ke wo asghar likhun
bole sheh kya mai...
tum se shikwa o shikayat hai bahot sughra ko
naiza khaye huwe so rahe hai wo akbar likhun
bole sheh kya mai...
kat gaye shaane chidi mashke sakina afsos
bichde pardes mein abbas e dilawar likhun
bole sheh kya mai...
shaam ko dulha bane subhe shahadat paayi
laash qasim hui pamaal ye kyun kar likhun
bole sheh kya mai...
do huwe kufe mein do karbobala mein maqtool
haye muslim ke pisar mar gaye kyun kar likhun
bole sheh kya mai...
kitne tanha thay hussain asr ke hangaam anees
gham se phat jaye kaleja jo wo manzar likhun
bole sheh kya mai...