ajeeb waqt pada hai yateem bachi par
meinaan e karbobala ro rahi hai khaak basar
ye beti uski hai jo ke hai do jahan ka ameer
pali hai jo bade naazon mein dukhtare shabbir
pade hai neel usi shaahzadi ke rukh par
ajeeb waqt pada hai...
musibaton mein giraftaar shaahzadi hai
watan se door hai be-aasra hai pyasi hai
labon pe bain hai ghurbat ki khaak hai sar par
ajeeb waqt pada hai...
kahin pe laashein kahin khoon hai shaahe khuda
akeli dasht e musibat mein aagayi ye kahan
andheri raat mein mar jaye na ye dar dar kar
ajeeb waqt pada hai...
bhala sakina ko kaise qaraar aayega
hamesha bachi ko ye gham haye rulayega
chala hai saamne baba ke halq par khanjar
ajeeb waqt pada hai...
sakina zulm o sitam aur seh nahi sakti
zyada dayr wo ab zinda reh nahi sakti
khudara kar do ye abbas e bawafa ko khabar
ajeeb waqt pada hai...
kabhi tamache lagaate hai taziyana kabhi
koi satata hai haye rula raha hai koi
nahi hai koi jo usko dilaasa de gohar
ajeeb waqt pada hai...