Kanz e Aza

Aisa Safar Na Ho

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Mujeeb Alipuri. Lyrics in Roman Urdu.

sajde may hai zameen to falak hai qayaam may

quwwat nahi hai utne ki bemaar imam may

aaya sar e hussain to kohraam mach gaya

goonji sada sakina ki zindan e shaam may

baba kisi ghareeb ka aisa safar na ho


ghurbat may is tarha koi taraaj ghar na ho

aisa safar na ho aisa safar na ho


baba mai dekhti rahi ke hua qatl aap ka

dihklaye rab na beti ko ye haal baap ka

sar jism se kisi ke juda is qadar na ho

aisa safar na ho...


daaghe yateemi kya hai khabar tak na thi mujhe

ye baat aap hi ne to batlaayi thi mujhe

baccha wohi yateem hai jiska pidar na ho

aisa safar na ho...


jab bhi tamache maarta tha shimr e bad gohar

baba tadap tadap ke mai gir jaati khaak par

beti ke aage baap ka naize pe sar na ho

aisa safar na ho...


har pal tumhe bulaati thi baba ab aaiye

meri madad ko kyun nahi aaye bataiye

mumkin na ho ke aap ko meri khabar na ho

aisa safar na ho...


kufe ki raah may kabhi bazaar e aam may

ahle sitam ke saamne darbar e shaam may

meri tarha kisi ka bhi uryan sar na ho

aisa safar na ho...


jakda hua tha mera gala rassiyon ke beech

mai berida khadi thi tamashaiyon ke beech

bazaar e shaam jaisi koi reh guzar na ho

aisa safar na ho...


ye kamsini may koh e musibat to dekhiye

zindan e shaam may meri haalat to dekhiye

pinjre may jaise panchi ho aur jiske par na ho

aisa safar na ho...


godhi may leke sar e shaah e ins o jaan

mohsin mujeeb bali sakina ne ki fughan

mujh ghamzada ki tarha koi bepidar na ho

aisa safar na ho...