tanhaai e zainab hai aur sham e ghariban hai
jalte huwe qaime hai kunba sar e maidan hai
imdad ko beti ki aajao mere baba
be-deeno ka nargha hai aur dashte bayaban hai
tanhaai e zainab hai...
bacche to abhi thak kar sab khaak pe soye hai
maqtal mein andhera hai dil khauf se larza hai
tanhaai e zainab hai...
bin pani ke aada ne gardan pe churi pheri
ye koi nahi jaana bhai mera mehman hai
tanhaai e zainab hai...
baba wo zara dekho shabbir ke laashe ko
aaza e badan zakhmi sar khoon mein ghaltan hai
tanhaai e zainab hai...
pardes mein zainab ki allah re majboori
doo kaise kafan sheh ko sar mera bhi uryan hai
tanhaai e zainab hai...
pamaal shuda ran mein laashe hai shaheedon ke
bikhri hui maqtal mein har aayat e quran hai
tanhaai e zainab hai...
hum tashna dahano par wo zulm o sitam toote
pani to hai sharminda khud zulm bhi hairan hai
tanhaai e zainab hai...
aankhon mein mujeeb apni hai karbobala roshan
mohsin ki nigahon mein qabre shahe zeeshan hai
tanhaai e zainab hai...