Kanz e Aza

Tum Na Aana Hussain

A noha for Hazrat Muslim (a.s), written by Mir Sajjad Mir. Lyrics in Roman Urdu.

zakhmon se choor choor safeer e hussain tha

phir bhi kate labon pe ye muslim ke thi sada

tum na aana hussain

tum na aana hussain


ay rone waalo tha waqte aakhir

muslim ke lab par ye nauha

tum na aana hussain

halaat ache nahi hai yahan

maqtal hai ye shehr e kufa

tum na aana hussain


kuch naize waalon se maine suna

akbar ke seene ki karte thay baat

talwaar waale ye kehte milay

inse hi kaatenge ghazi ke haath

khanjar ko chamka rahe hai yahan

sab naam le kar tumhara

tum na aana hussain

ay rone waalo...


ye soch kar kaamp jaata hoo mai

hai aap ke saath may bibiyan

kaise bataun jo maine suna

zainab kahan beridayi kahan

bas ye dua hai salamat rahe

aulaad e zehra ka parda

tum na aana hussain

ay rone waalo...


ye kufe waale hai zaalim bade

mastoor par bhi nahi mehrban

toaa ko jis waqt durre lagay

yaad aayi muslim ko saydaniya

zehra ki surat khuda na kare

khaaye sakina tamache

tum na aana hussain

ay rone waalo...


pehle bhi aayi thi binte ali

ho kar yateema yahan se gayi

ab uske sar par nahi hai koi

tumko hua kuch to mar jayegi

kufa nahi raas aaya usay

zainab ko le kar dubara

tum na aana hussain

ay rone waalo...


unki to maa bhi nahi hai yahan

jaane kahan honge bache mere

daarul amaara se hoo dhoondta

aajaye shayad nazar wo mujhe

lekin mai rota hoo ye soch kar

asghar hai unse bhi chota

tum na aana hussain

ay rone waalon...


ay mir sajjad usne kaha

is waqt muslim akela nahi

girne na degi wo sar ko mere

phailaye jholi khadi hai yehi

godhi may sar ko utha lengi wo

aayi hai khud chal ke zehra

tum na aana hussain

ay rone waalon...