Kanz e Aza

Haaye Safeere Hussain

A noha for Hazrat Muslim (a.s), recited by Anjuman e Asghari. Lyrics in Roman Urdu.

haye safeer e hussain asws., haaye safeer e hussain asws., hazrate abbas asws., ki aati hai paiham sada.

koofe mein maara gaya bhayi mera be qata.

1. zulm wo dhaya gaya muslime naashad par.

gher ke maare layee’n teer kabhi aur tabar.

nayibe shabbir asws., ka qoon bahaya gaya.


2. bache bhi the saath mein jaane kidhar hoyenge.

haaye wo pardes mein jaane kidhar jaayenge.

bacho ka deedar bhi aaqri dam na mila… 3. aaqri saanso’n mein bhi bhayi ki yaad aagayi.

sonchke rone lage shah ki wo bekasi.

bhayi ko karke salaam., bhayi ko aayi qaza..,, haaye safeer e hussain asws.,, 4. itne sitam karke bhi haaye shaqi na ruka.

jism se sar kaatke baam se phainka gaya.

god ko phailaye hai tehri hui fatima sa., 5. muslim e naashad ke gham mein hai sab seena zan.

aaye hai is farsh pe mehwe buka panjetan.

anjuman e asghari karti hai matam bapa..,, haaye safeer e hussain asws.