Kanz e Aza

Mai Jaa Raha Hoo

A noha for Arbayeen, written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

hogayi poori dua marhaba salle alaa

uth gaye mere qadam jaanib e karbobala

is din ka barso se tha intezaar

mai bhi ziarat to tha be qaraar

hai arbaeen shabbir ka mai jaa raha hoo karbala

paidal safar karta hua mai jaa raha hoo karbala


do jannato ke darmiyan sajda karoo ye khwab tha

jaa kar kafe abbas par nauha padhoo ye khwab tha

jo khwab tha sacha hua mai jaa raha hoo karbala

hai arbaeen shabbir ka...


us maqtal e shabbir mein dena hai pursa khoon ka

karna hai us dehleez par seena zani ka haq ada

maangoo khuda se aur kya mai jaa raha hoo karbala

hai arbaeen shabbir ka...


haji kahe zaair kahe mujhko sabhi ahle aza

maula mujhe de ye sharaf karta tha mai har dam dua

mujhko sharaf mil hi gaya mai jaa raha hoo karbala

hai arbaeen shabbir ka...


haathon mein ek lekar alam abbas ka mehwe buka

jaa'un najaf se karbala muddat se ye armaan tha

armaan ye poora hua mai jaa raha hoo karbala

hai arbaeen shabbir ka...


sab matami jeete rahe aao kare mil kar dua

maula ka ho hum pe karam bibi ki ho hum par ata

honton pe ho bas ye sada mai jaa raha hoo karbala

hai arbaeen shabbir ka...


har ek maqam e shahadat pe mai

matam karunga sare karbala

akbar ne khaayi jahan par sina

pamaal qasim jahan par hua

ghazi ke baazu jahan par kate

paalon ka asghar jahan so gaya

aur jis jagah sheh ke qaime jale

cheeni gayi bibiyon ki rida

mai us jagah karke aah o buka

majlis kara'unga behre aza

mai jaa raha hoo karbala

hai arbaeen shabbir ka...


wo safdar o mazhar ho ya zaair koi shabbir ka

abbas de jis ko sada jaata wohi hai karbala

ghazi ne di mujhko sada mai jaa raha hoo karbala

hai arbaeen shabbir ka...