laash abbas ke qaime mein nahi laaye hussain
le ke bas mashk o alam mehwe buka aaye hussain
ro ke zainab se kaha kitni musibat dekhi
maine har chaahne waale ki shahadat dekhi
zeen se khaak pe har ek wafadar gira
aise koi na gira jaise alamdar gira
mask pani se bhari aur suye qaima chala
teer se mashk chidi aas gayi dil toota
pusht e rahwaar pe sadme se kayi baar gira
aise koi na gira...
jis khadar pani baha khoon bahaya us ne
aise aalam mein bhi ye zarf dikhaya us ne
is musibat mein kahan sabr ka meinaar gira
aise koi na gira...
kya kahun tum se behan dil pe chale thay khanjar
aisa lagta tha ke ghode se giray hai akbar
khaak pe kat ke jo ek baazu e jarraar gira
aise koi na gira...
jin se sadaat ko dhaaras thi wo baazu na rahe
itna roya hoo ke ab aankh mein aansu na rahe
dil mera toot gaya jab mera salaar gira
aise koi na gira...
gurz jab sir pe laga ghode pe shambhla na gaya
mere abbas ne rote huwe de mujhko sada
aaiye aaqa ke ab aap ka ghamkhwar gira
aise koi na gira...
pahuncha jab bhai ke laashe pe to dekha manzar
amma zehra bhi hai aur faatahe khyber bhi magar
khaak par ghutno ke baal deen ka sardar gira
aise koi na gira...
rakh ke zaanu pe sar e ghazi kaha tha maine
zulm ki dhoop mein ab tanha hi jalna hai mujhe
tu jo ghode se gira saaye e dewaar gira
aise koi na gira...
ro ke phir mera wafadar pukara aaqa
laasha qaime mein na le jaana khudara aaqa
apni nazron se hai pyason ka alamdar gira
aise koi na gira...
marsiya ban gayi roodad e sitam kaghaz par
aaj bhi rote hai ye keh ke raza aur mazhar
kaise bin haathon ke reti pe wafadar gira
aise koi na gira...