ghul hai ye maqtal me bapa haye haye
ibne hassan qatl hua haye haye
shab ko hua aqd sehar hote hi
aagayi dulha ki qaza haye haye
hazrate shabbir ke damaad ko
qatl laeenou ne kiya haye haye
laash ko pamaal kiye ashqiya
haal ye dulha ka hua haye haye
lut gayi beti shahe mazloom ki
karti hai zainab ye buka haye haye
laash ke tukdo ko jama kar ke aah
laaye hai shahe shohada haye haye
dekh ke tukde bane qasim ki laash
karti hai bewa ye buka haye haye
bano tadapti hai tadapti hai maa
karte hai sab aaho buka haye haye