Kanz e Aza

Mera Abbas Ghazi

A noha for Moula Abbas (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

ghuroore fauje sitamgar ko tod sakta hoo

rukhe furaat nigahon se mod sakta hoo

ali ka beta hoo mojiz numaiyon ki qasam

mai aftaab se pani nichod sakta hoo


mera abbas ghazi abbas


maani e riffat e esaar o wafa hai abbas

jazba e hausla e sher e khuda hai abbas

rooh e ehsaas e rasool e do sara hai abbas

yaani allah ke maqsad ki baqa hai abbas

raasta rehbar e islam ki rukne na diya

kath gaye haath alam deen ka jhukne na diya

mera abbas ghazi abbas...


mai jo ejaaz dikhaun to ye naksha badle

arsh pe fasl ugay farsh pe suraj nikle

nehr se gard udhe sang se chashma phoothe

aag pani may lage aag se pani nikle

ghoor ke dekhun to tum sab pe mammaat aajaye

mere toote huwe naize pe furaat aa jaaye

mera abbas ghazi abbas...


meri talwaar se jibreel ke par kaampte hai

meri haibat se sabhi jinn o bashar kaampte hai

tum to kya cheez ho sher'on ke jigar kaampte hai

maut se pehle hi ajsaam ke sar kaampte hai

maine talwaar jo ek baar chalayi hoti

saari dunya may duhaai hi duhaai hoti

mera abbas ghazi abbas...


jang e siffain ka maahol dobara hojaye

khaynch loo taygh to dunya may savera hojaye

alqama ko jo mera ek ishaara hojaye

qaima e shaah hi darya ka kanara hojaye

khatm pyason ki abhi tashnadahani kardun

mai agar chaahun pahadon ko bhi pani kardun

mera abbas ghazi abbas...


poore maqtal ko ek ungli pe nacha sakta hoo

tum jo mar jao to thokar se jila sakta hoo

aag behte huwe pani may laga sakta hoo

tum ko ab rooh ke ishaare se bhaga sakta hoo

haath katne pe bhi ladne se mai mazoor nahi

hukme shabbir ka paband hoo majboor nahi

mera abbas ghazi abbas...


haa magar gardish e dauran ne ye manzar dekha

kat gaye baazu e abbas sare raah e wafa

sar pe bhi gurz laga aankh pe bhi teer laga

aas bhi toot gayi mashk se pani jo baha

ho salaam aap pe aaqa ye pukare abbas

nehr se jaanib e firdaus sidhare abbas

mera abbas ghazi abbas...


jab suna nehr pe saqqa e haram maara gaya

gir gayi bibyon ke sar se ye sunte hi rida

bibi zainab ki sada aane lagi wawaila

gir gaya daste sakina se zameen par kooza

boli ye ro ke mujhe aas nahi hai ammu

jald aajao ke ab pyaas nahi hai ammu

mera abbas ghazi abbas...


ro ke shabbir pukare mere bhaiya abbas

mere ghamkhwar mere aashiq o shaida abbas

mujhko pani to pilado mai hoo pyasa abbas

mai gira jaata hoo do mujhko sahara abbas

qaima e fatema zehra ki sipar toot gayi

haath bhai ke kate meri kamar toot gayi