ba yaad e sibte nabi jo bahaye jaate hai
un aansuon se muqaddar banaye jaate hai
yaqeen na ho to wahin karbal mein chal kar dekh
kaise tamaam se jangal basaye jaate hai
udoo e aal ko zid hai ke zikre aal na ho
kahin ye naam bhi dil se bhulaye jaate hai
ruk na paaya kabhi ruk na payega ye gham tera
arsh se farsh tak farsh se arsh tak hai sada
matam tera hai maujiza matam tera
hai marze la dawa ki dawa matame hussain
mushkil mein behtereen dua matame hussain
marta hai jism rooh mein hoti hai zindagi
rooh ki hai behtereen ghiza matame hussain
hai marze la dawa ki...
tareekh dekh asr e shaheedan se aaj tak
karte rahe hai arz o samaa matame hussain
hai marze la dawa ki...
ye ehd hai wafa hai ta'alluk hai baqt hai
mesaak se hi hum ne chuna matame hussain
hai marze la dawa ki...
is matame hussain ki waaris butool hai
wirse mein jis ne hum ko diya matame hussain
hai marze la dawa ki...
maa loriyon mein nauhe sunaati rahi hamein
hum ne to apni maa se liya matame hussain
hai marze la dawa ki...
pooca khuda ne laaye ho zaad e nijaat kya
maine basad yaqeen kaha matame hussain
hai marze la dawa ki...
ay aashiqane aale mohamed na chodna
ishq e ali namaze khuda matame hussain
hai marze la dawa ki...
jisko ye gham mila hai wohi khush naseeb hai
farshe aza mein darse wila matame hussain
hai marze la dawa ki...
ashoor ki sehar se ghareebon ki shaam tak
karti hai soghwaar fiza matame hussain
hai marze la dawa ki...
jiski qabooliyat mein na shak hai na dayr hai
mere har ek amal se bhala matame hussain
hai marze la dawa ki...
dashte bala ki rayt pe bhai tha bekafan
karti rahi behan ki rida matame hussain
hai marze la dawa ki...
sidhra se jibraeel ne mujhko ye di khabar
shaukat raza khuda ki raza matame hussain
hai marze la dawa ki...