Kanz e Aza

Maa Dekho Na

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Zeeshan Abidi (2026). Lyrics in Roman Urdu.

gire jo ghode se maqtal mein shaahe karbobala

hazaron zakhm thay saara badan lahoo se bhara

suni jo qadmon ki awaaz to uthe maula

kaha tadap ke ye jab maa ko saamne dekha


maa ali akbar ko naiza maara

haye maa ho gaya seena paara paara

haye maa beh gaya uska khoon bhi saara

maa dekho na


uthaya hai jab se uska laasha mai thak gaya hoon maa

fajr se lekar asr talak mai ujad gaya hoon maa

haye maa dekho na


maa meri sakina kaise jiyegi

haye maa baap ka seena wo dhoondegi

haye maa mere bina wo mar jayegi

maa dekho na

sula ke mai khaak par sakina ko aa gaya hoon maa

fajr se lekar asr talak...


maa mar gaya meri godh mein ghazi

haye maa kat gaye baazu beh gaya pani

haye maa ho gaya uska chehra zakhmi

maa dekho na

nahi mile koi bhai se jaise mai mila hoon maa

fajr se lekar asr talak...


maa jiska badan tha phool ke jaisa

haye maa usko uthane jab mai pahuncha

haye maa bikhra tha qasim ka laasha

maa dekho na

sameta usko kahan kahan se mai jaanta hoon maa

fajr se lekar asr talak...


maa aun o mohamed mar gaye pyase

haye maa zinda na aaye wo darya se

haye maa mil nahi paaye wo sughra se

maa dekho na

magar sakina ko unke laashe dikha chuka hoon maa

fajr se lekar asr talak...


maa ghutniyo bhi jo chal na paaya

haye maa teer gale par usne khaaya

haye maa asghar ko maine dafnaya

maa dekho na

wo kitna pyasa tha soch kar mai tadap raha hoon maa

fajr se lekar asr talak...


maa aapka beta reh gaya tanha

haye maa lakhon ne mil kar mujhko maara

haye maa teer lage aur khaaya naiza

maa dekho na

hai zakhmi sar dekho gurz kha kar abhi gira hoon maa

fajr se lekar asr talak...


tha ran mein zeeshan aur farhan kaisa manzar

jab aake seene pe shimr baitha to bole sarwar


maa chalne waala hai ab khanjar

haye maa haath na rakhna tum gardan par

haye maa godh mein le lo mujhko aakar

maa dekho na

sukoon se maut aaye bas mai ye chaahta hoon maa

fajr se lekar asr talak...