mere hussain mujhe karbala dikha dije
mai muztarib hoo mere dil ka gham mita dije
bas apne dil mein ziyarat ki ilteja le kar
mai baitha rehta hoo tasweer e karbala le kar
fana mein baitha hoo mujhko baqa bana dije
mere hussain mujhe...
mai jaanta hoo bahot kam naseeb hoo maula
mujhe hai ilm bahot hi ghareeb hoo maula
ye kam naseebi o ghurbat meri mita dije
mere hussain mujhe...
jahan pe barchiyan kha kar giray ali akbar
jahan pe rakha hai gehwara e ali asghar
maqam e akbar o asghar mujhe dikha dije
mere hussain mujhe...
mai kazmain o najaf dekhun saamara dekhun
jahan jahan mere maula hai wo jagah dekhun
ye ilteja hai ke zaayir mujhe bana dije
mere hussain mujhe...
jo ho sake mujhe ashoor par bula lije
ay mere mola as mujhe ye sharaf ata kije
ke karbalayi mere naam mein laga dije
mere hussain mujhe...
ye chata hoo wahan ashk se wazoo mai karun
karun mai seena zani khoon ka bhi pursa doo
wahan ki khaak mein mera lahoo mila dije
mere hussain mujhe...
kisi baras ye mera intezaam ho maula
chalun mai shauq se paidal najaf se karbobala
mere qadam bhi rahe arsh par laga dije
mere hussain mujhe...
zareeh e hazrat e abbas ko bhi choomun mai
dar e huzoor pe mashkeeze ko bhi dekhun mai
to rasta e kaf e abbas bhi dikha dije
mere hussain mujhe...
dua hai majid o mukhtar ki mere maula
jo momineen na ziyarat pe jaa sake aaqa
sab hi ko zaayir e karbobala bana dije
mere hussain mujhe...