Kanz e Aza

Mere Khutbou Sai Toot Jaye Ga Tere Darbar ka Ghuroor Sabhi

A noha for Shehzadi Zainab (s.a). Lyrics in Roman Urdu.

Bandh Haatou Sai Main Mita Dungi Tujh Gunahgar Ka Ghuroor Sabhi


Tu Nai Lashay Bichaye Karbal Main, Phir Ridaou Ko Sar Sai Loot Liya,

Tukre Tukre Karounge Shaam Tere, Takhte Aghyar Ka Ghuroor Sabhi


Jaari Quran Nok E Naiza Pai, Yai Bataya Hussain Zinda Hai,

Huwe Barbaad Tere Sab Lashkar, Teri Lalkar Ka Ghuroor Sabhi


Naam E Zainab Zuban Pai Tu Laya, Bharay Darbariou Ki Mehfil Main,

Thar Tharaye Ga Mere Haibat Sai, Tere Guftaar Ka Ghuroor Sabhi


Qatl Karne Ko Agaya Tu Bhi, Mere Sajjad Ko Mere Houte,

Akh Kardoungi Ek Lamhay Main, Tere Talwar Ka Ghuroor Sabhi


Ghairatou Kai Baha Diye Dariya, Har Ansou Main Laash Thi Uski,

Zakhmi Qadmou Sai Rond Aya Hai, Sajay Bazaar Ka Ghuroor Sabhi


Tune Jakra Jisse Zanjeerou Sai, Yehi Sajjad Misl E Haider Hai,

Yai Tou Ghash Main Bhi Tor Sakta Hai, Tujh Khatakar Ka Ghuroor Sabhi


Safar Mera Bharray Bazarou Main, Khoon Sajjad Ko Rulata Hai,

Houga Pamaal Tere Wehshat Sai, Dar O Dewar Ka Ghuroor Sabhi


Tasht Main Hai Sar E Hussain Parra, Mere Daman Main Urh Kai Ajaye,

Rab E Adil Yai Mojiza Dekho, Tarpai Maikhar Ka Ghuroor Sabhi