qabre sarwar pe nauha kuna hai behan
teri turbat pe ab mehman hai behan
ek amaanat jo saumpi thi tu ne mujhe
gham hai sharminda us ko hum laa na sake
wo wahan shaam mein aur yahan hai behan
qabre sarwar pe...
tum pe royi to bas taziyane lage
raah pukhaar thi paon zakhmi huwe
do sahara mujhe natawan hai behan
qabre sarwar pe...
shaam e ashoor ko saare qaime jale
ro rahi thi tumhe yaad karte huwe
ab bhi un sholon ke darmiyan hai behan
qabre sarwar pe...
qabr par bhai ki koi saaya na tha
bhai ki qabr se tab lipat kar kaha
dhoop mein qabr ka sayeban hai behan
qabre sarwar pe...
karne chehlum tera aayi hai ghamzada
gham na kar teri tanha lehad hai to kya
qabr par teri girya kuna hai behan
qabre sarwar pe...
chadarein chin gayi haath bhi thay bandhe
hum ko bazaar o darbar mein le gaye
ek musibat ka kohe giran hai behan
qabre sarwar pe...
ek taraf qabr teri hai ay bhai jaan
doosri simt ghazi ki turbat ayan
do taraf bhai hai darmiyan hai behan
qabre sarwar pe...
jao jab karbala majid e khasta jan
jab bhi mukhtar ho koi nauha kuna
aisa lagta hai mehwe fughan hai behan
qabre sarwar pe...