Kanz e Aza

Jab Kiya Jayega

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

jab kiya jayega mehshar may ibadat ka sawaal

aayega aal e payambar ki mohabbat ka sawaal


jiske haathon se shajar phoola phala islam ka

aaj dunya kar rahi hai us se bayyat ka sawaal

jab kiya jayega...


lab pe aa jaata hai naam abbas ka be-saakhta

jab kabhi aata hai jurrat aur shuja'at ka sawaal

jab kiya jayega...


bad'dua karti layeeno ke liye zainab zaroor

saamne hota na gar nana ki ummat ka sawaal

jab kiya jayega...


baap ki aaghosh may asghar humak kar aa gaye

jab kiya sarwar ne emaan ki himayat ka sawaal

jab kiya jayega...


ek taraf akbar sa beta aur maa ki maamta

ek taraf deen e elaahi aur nusrat ka sawaal

jab kiya jayega...


poocha qasim ne chale aayenge kya ghar may udoo

aaya jab nanhe se asghar ki shahadat ka sawaal

jab kiya jayega...