Kanz e Aza

Islam Ko Fana se

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Viqar Nagri. Lyrics in Roman Urdu.

islam ko fana se bachaya hussain ne

qasre yazeediyat ko giraya hussain ne


allah re hifazat e millat ka ehtemam

toofan mein charagh ko jalaya hussain ne

islam ko fana se...


khushboo usi ki phaili hai saare jahan mein

jo phool karbala mein khilaya hussain ne

islam ko fana se...


paigham jo nabi ne sunaya tamaam umr

sab kuch wo ek din mein sunaya hussain ne

islam ko fana se...


jo kaam ambiya e salaf se na ho saka

kis shaan se wo kar ke dihkaya hussain ne

islam ko fana se...


khyber ka dar uthana to kuch aur baat thi

laasha pisar jawan ka uthaya hussain ne

islam ko fana se...


katwa diya sar apna bade shaukh se magar

baatil ke aage sar na jhukaya hussain ne

islam ko fana se...


ek ek se poochte thay mera chand hai kidhar

jab ran mein naujawan ko na paaya hussain ne

islam ko fana se...


chehre pe mal ke asghar e masoom ka lahoo

kya hai maqaam e sabr dikhaya hussain ne

islam ko fana se...


haathon se apne qabr bana kar sagheer ki

pani ke badle ashk bahaya hussain ne

islam ko fana se...


shayar bana ke aale rasool e anaam ka

rutba tera viqar badhaya hussain ne

islam ko fana se...