Kanz e Aza

Insaf Maangti Hoo

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Jaun. Lyrics in Roman Urdu.

roze jaza adalat e parwardigar mein

haazir hai jo bhi muztarib hai ashke baar mein

faryad kar ke ro rahi hai maa hussain ki

khaalik bhi aaj fatema ka gham gosaar hai


mehshar mein maa ye kehti hai nauha hussain ka

insaaf maangti hoo mai zehra hussain ka


wo karbala ki dhoop wo tapti zameen par

ummat ne kar diya mera beta lahoo mein tar

shahid hai mere haath mein kurta hussain ka

insaaf maangti hoo mai zehra hussain ka

mehshar mein maa...


aulaad ke dukhon se sataya gaya usay

laashe pe us jawan ke rulaya gaya usay

humshakle mustafa tha jo beta hussain ka

insaaf maangti hoo mai zehra hussain ka

mehshar mein maa...


zakhmon se choor ruqsate qayyaam alwida

matam tha isterab tha kohraam alwida

zainab ko dekh chod kar jaana hussain ka

insaaf maangti hoo mai zehra hussain ka

mehshar mein maa...


mazloom sirf ek tha zaalim hazaar thay

aur be-khata ki chaak mein teeron ke waar thay

dushman tha jaise saara zamana hussain ka

insaaf maangti hoo mai zehra hussain ka

mehshar mein maa...


mehndi ka rang khoon mein doobi ye baaliyan

asghar ki pyaas dasht mein akbar ki wo azan

laayi ho zuljanah se girna hussain ka

insaaf maangti hoo mai zehra hussain ka

mehshar mein maa...


ghar ko jala ke shaam e ghariban guzar gayi

zainab rasan ka baar liye shaam ko chali

sehra mein chodna pada laasha hussain ka

insaaf maangti hoo mai zehra hussain ka

mehshar mein maa...


darbar tha khataar mein behne aseer thi

thaame chadi wo takht pe baitha tha ek layeen

aur tasht mein kata hua sar tha hussain ka

insaaf maangti hoo mai zehra hussain ka

mehshar mein maa...


meri fughan hai jaun abhi daste yaas mein

irfan inteqam hai chupke libaas mein

ashkon mein leke aayi hoo sajda hussain ka

insaaf maangti hoo mai zehra hussain ka

mehshar mein maa...