gham mein baysheer ke hota hai kaleja pani
jab bhi sunte hai ke shabbir ne maanga pani
karbala mein koi insan nahi tha warna
waqte zibha to koi sheh ko pilaata pani
daste abbas kate mashk chidi pyaso ki
roze ashoora hua khoon ka pyasa pani
ek ali asghare masoom ke do hai qaatil
teer ne qatl kiya jaan se maara pani
fitratan tashna-dahani hai isi se saabit
zikr pyaso ka chida aankh se nikla pani
qaatilon hi ki tarha dushmane jaani nikla
tha sakina ke liye pyas ka darya pani
jo khilate nahi be-dard dawa abid ko
kab pilayenge wo bemaar ko thanda pani
naqsh hai sheh ki wasiyat ali fitrat dil par
yaad karlena mujhe jab kabhi peena pani