ubhalta hai samandar khoon ka allah ke ghar se
ali zakhmi huwe hai aaj shamsheer e sitamgar se
ali ki bekali par zindagi aansu bahaati hai
sada e al-feraq aati hai har ek tare bistar se
ubhalta hai samandar...
pareshan surkh chehra sard hai aur surkh hai aankhein
yateemi kya hai poocho aaj abbas e dilawar se
ubhalta hai samandar...
dil e islam se hook uth'ti hai emaan rota hai
musalle par jo behta hai namazi ka lahoo sar se
ubhalta hai samandar...
dil e ummul baneen ko bewagi ka gham uthana hai
suhagan zindagi khoon ro rahi hai deeda e tar se
ubhalta hai samandar...
tadap ay fitrate islam moula jaane waale hai
payam e irjaee aane ko hai allah ke ghar se
ubhalta hai samandar...
suni hai jiske kaano ne hadees e raas karasi
wo pooche gham ali ki mauth ka qabr e payambar se
ubhalta hai samandar...
janaza kulle emaan ka ali fitrat jab uthega
na jaane haal kya zainab ka hoga gham ke khanjar se
ubhalta hai samandar...