kehti thi ro kar zainab e kubra
ek dukhiyari meri sakina
pani ko tarsi wawaila
ek dukhiyari meri sakina
kehti thi ro kar...
chote chote baalon waali
haye meri naazon ki paali
kaise chupaye apna chehra
ek dukhiyari meri sakina
kehti thi ro kar...
shimr e layeen ne kaano se gauhar
cheen liye qaimon ko jala kar
kehti rahi ro ro ke baba
ek dukhiyari meri sakina
kehti thi ro kar...
qaime may kohraam hai barpa
aag lagane aaye hai aada
poochti hai nana ka rauza
ek dukhiyari meri sakina
kehti thi ro kar...
shaam e ghariban ka sannata
hoo ka aalam sehra sehra
dhoond rahi hai baap ka laasha
ek dukhiyari meri sakina
kehti thi ro kar...
is qaime se us qaime may
jaati hai ghabrayi hui si
saath liye asghar ka jhoola
ek dukhiyari meri sakina
kehti thi ro kar...
bain ye thay zainab ke ishrat
ho gayi is dunya se ruqsat
daaghe alam ka de kar tohfa
ek dukhiyari meri sakina
kehti thi ro kar...