kaise ho musalman charaghon ko bujhado
shehzadi e kaunain khule sar hai rida do
uth'ta hua qaimon se dhuan dekhne walon
islam ke ghar may hai lagi aag bujhado
kaise ho musalman...
is din ke liye paala tha kya binte nabi ne
shabbir ka sar kaat ke naize pe chadado
kaise ho musalman...
ghodon se tan e sibte nabi raundh rahe ho
dar par hai behan ran ki zara khaak uda do
kaise ho musalman...
ye shaam ka bazaar mohamed ki nawasi
uryan sar e islam hai chadar to udha do
kaise ho musalman...
maa dekh na le sar ko kahin bar sare naiza
jis par sar e asghar hai zara door hata do
kaise ho musalman...
ghabrake tamachon se ye kehti thi sakina
achi phupi amma mere ammu ko bula do
kaise ho musalman...
shabbir ke matam ki sada goonj rahi hai
utho meri awaaz se awaaz mila do
kaise ho musalman...