MAIN KYA BATOU KE KYA KYA GUZAR GAYI AMMA
MAIN SUCHTI HUN KE MAIN KYUN NA MARGAYI AMMA
1.Sunane Ranj O Alam Karbala Se Aayi Hu
Rasool e Pakh Ki Umaat Ki Main Satayi Hu
Nashan e Dagh e Rasan Bazuou Pe Laayi Hu
2.Bhara Howa Tha Tera Ghar Jo Subhe Aashora
Ke Ek Din Me Howa Qatl Ghar ka Ghar Saara
Hussain Bhai Ka Be Sar Padha Raha Laasha
3.Wo Sham Sham e Ghareeba Daare Howe Bache
Baadhe Jo Julm Ke Saaye Toh Khouf Se Bache
Na Maange Aabo Giza Aur Sogaye Bache
4.Main Kya Batou Sakina Pe Kya Sitam Guzre
Tamache Marke Rukhsar Kardiye Neele
Na Rone Paayi Na So Paayi Shimr Ke Dar Se
5.Bhula Na Payengi Manzar Wo Zainab e Muztar Ke Ek Nigha Thi Qaime Pe Ek Khanjar Par
Barhena Sar Chali Aaye Na Soch Kar Khahar
6.Barhena Sar Sar e Bazar Thi Teri Dukhtar
Nigha e Gair Ke Chubte They Qalb Me Khanjar
Wo Zakhm Aj Bhi Taaza Hai Qalbe Zainab Par
7.Wo Asr e Tang Ka Hanggam Gurbat e Sarwar
Raage Gale Ki Na Katti Thi Kund Tha Khanjar
Hussain Paon Raghde The Khakh e Maqtal Par
8.Likha Hai Tune Jo Nouha Najaf Ali Shoukat
Mili Hai Mehdi Ko Zikre Hussain Se Izzat
Bayan Kardi Jo Baad e Hussain Thi Gurbat